Sanam ne Sehra bandha hai
April 27, 2007 by deepika6705
AAj mere Sanam ne Sehra Bandha hai,
Nikali hai barath , kisi aur k Angan Pahunchi hai.
Chadi hai Suhag ki chudiyan kisi aur k haath,
AAj uske naam ki mehndi Kisi aur k Haath rach hai.
Bani hai koi Dhulhan mere Sanam k liye,
AAj kisi ka char diwari Phoolo aur roshni se saj hai.
Jagi thi yea aas Usne mere man mein,
Par aaj usne Kisi aur ki Maangh sajai hai.
Vaada kiya tha mera saath nibane ka,
Par aaj kisi aur k sang usne apni Dhuniyan basai hai.
main aaj khush hun ,Ki woh Khush hai,
par najane kyun palko yea nami kyun chai hai.
Labo par chai hai, Der sari muskarahat,
Par kyun is Man mea Tanhai hai..
AAj kisi aur ki Doli
Mere Sanm k Ghar ko Nikali hai…
Ab nahi saha ja raha mujhse yea dard,
Kyun kisi ki Chuti Mere Sanam k liye khanki hai.
Tar tar tadap raha hai mera Dil.
Ashko ki dhar labo tak Chalki hai…
Royegi tho aaj uski bhi Dulhan…
Par mere ansuo ki Kisko padi hai….
AAj mere Sanam ne Sehra bandha hai,
Nikli hai barath , Kisi aur k Angan pahunch hai…
Kisi aur k Angan pahunchi hai…
Kisi aur k………
Nice poems keep it up…
Take care have a bright future.
thank u amit for ur reply.