Dil rondh kar jane wala mera yaar
Raah mea mujhe khada mil gaya
Betab tha who bhi mere liye
Buli bisri yaado phir taza kar gaya
Khushi k mare mene hosh gava diye
Woh mujhse baat karne ko lalcha sa gaya
Har kata kabuli dono ne
Par ab who kisi aur ka ho gaya
Mangha tha kudha se uska saath
woh mere begair bitaye har gum ka pegaam suna gaya
Aaj bhi who mujhe betah chahta hai
Mujh sangh apni Zindagi bitana chahta hai
Par ab yea mumkin nahi
Ab who kisi aur k sapno ka saudagar ho gaya
Chalo aaj who khush tho hai
Mujhe uska pyar na sahi Dosti ka hakk tho mil gaya
Divya tho hamesha se Sanam ki hi diwani thi
Aur woh agle janam mea sath nibane ka sapna dikha gaya
Yea Duniya kitni jalim hai
Is zalim duniya ke maasende humari pyar ki kasti dubo gaya
Kitne kush the hum, sirf ak dujhe ka khumar tha
Par ab sab kuch ak umeed ban dono ki ankho mea sama gaya
Kya kahu tumse ab , kuch baki hi nahi hai
Bas khudha ka Ashish aur Dosto ka sath Reh gaya…..


bahut khub bahut hi aacha likha hai aap ne
dil ke har ahsaas ko sabdo mai pirona aasan
nahi lakin aap ne ye kaam bakhubi nibhaya hai
dil se daad kabool farmayen aap
Thank u so much Badal aapki iss hausla afzai kliye. Dil se shukriya…