Aaj achanak hi beete Palo ki Dastan yaad aa gai
Woh haste Khelte , Mehfil ki Waah waahi yaad aa gai
Jahan sab apne yaar the, Na koi paraya hua tha
Hass kar saath dete sabi, Woh baat yaad aa gai
Jahan apno se jayada Pyaar aur Dulaar mila tha
Unn Dosto ka saath, Unse Hui Judaai yaad aa gai
Jahan Samaye ki na Garwalo ki daant ki parwaa thi
Uss Yoindia k Monitors ki pyaari Daant yaad aa gai
Jahan Kisi k Dil ko dukne nahi dete the Mere yaar
uss Sundar aur Pyaare se Pariwaar ki yaad aa gai
__DIVYA__

